ZINDAGI...................
Zindagi tham ja, thoda to ruk
ye safar itna to aasan nahi jitna socha tha
kismat itni bhi kharab to nahi hoti
ki hatho ki lakeerein hi mit jaye.
Mana sangharsh hai jeevan me
par aisa hi kya ki har saans ke liye ladna pade
jeena ek maha yudh ban jaye jisko kabhi na jeeta ja sake
Pyar pana itna mushkil kyun hogaya hai
ki jaise kisi se saansein udhar leli ho
kya ye sach hai ki pyar yahan paiso se
or sacche rishte naseeb se milte hai
Kyun aaj ek hi ghar ke 4 logo ko
baat kiye mahino guzar jate hai
unki takleef unki pareshani sirf
wo hi jante hai aisa kyun
Zindagi tujhe jeena to bahut mushkil hai
tera sath chhodne ka man karta hai ab
or uska hath thamne ka
jisse sab mushkile aasan ho jaye
Wo jise kuch nahi chaiye
na pyar na rishte
jo kuch na le kar bhi sab kuch de jaye
wo sukoon jo puri umar maine tujhme talasha
wo sukoon to tujhme hai hi nahi
Ja rahi hu main us sukoon ke liye tujhe chhodkar.......

0 Comments